5 Things We Usually Do On Sunday
- Get link
- X
- Other Apps
Sunday: A day which itself brings smile on millions of faces.. Hafte bhar ki neend puri krni ho ya hafte bhar ki bhuk mitani ho ya hafte bhar ka aaram krna ho.. aaj hi ke din hota hai sab.. shayad hi koi aisa hoga jo sunday ko na pyaar krta ho.. Here are the things which we usually do on Sunday’s -
1. Sona Sona aur Sirf Sona
Sunday or sleep day, one and the same thing. Maximum logo ka aadha sunday sone mai chale jata hai.. na office ki koi tension. na colleges n schools ki. Sunday ko har ek aadmi kumbhkaran ban jata hai.
2. Fir Khaana, Khaana Aur Khaana
Jaise kumbhkaran ka kaam hai sirf khana aur sona.. waise hi sunday ko ya to sona.. ya sirf kuch na kuch khaate rehna.. Ek Indian family mai sunday ke din baccha ya to Khana khaata hai ya gaalia.
3. No Bathing Day
Sunday ko nahana.. 21th century ka sabse bada paap.. chahe kitni bhi garmi ho ya thandi.. har koi sunday ko nahane se bachna chahta hai.. chahe koi party ho ya function, koshish yahi rehti hai ki na nahaya jaye.. aur uske baad mummy ke dialogues jamadar (Sweeper) hogya hai tu poora.. reejh (Kind of animal) jaisa dikh rha hai.
4. Baal Katana (Hair cutting)
Sunday ko agar koi kaam sabse mushkil hai to voh ye.. mummy ya papa ki gaalia sun ke bade udas man se baal aaj tak kisko na katana pada ho aisa shayad hi koi ho.. Mummy ke taane bhi alag rehte hai.. Malinga dikhne laga hai poora.., baal katwa le..,warna peeche se log tujhe ladki samajhne lagenge.. daadhi (beard) dekh apni.. bhalu lag rha hai poora. Uske baad sabse deadliest weapon “baal kata ke aa, varna nashta nahi milega”
5. Shaam Ko Bahar Dinner
Usually koi sunday ko koi ghar mai khana nhi banana chahta.. To sabse best option rehta hai bahar khana.. kaam bhari zindagi mai, family ke saath ek time spend karne ko bhi mil jata hai and shahi paneer aur butter chicken jaisi lajawaab dishes khane ko bhi.
Comments
Post a Comment